Saturday, August 13, 2011

Happy Indipendence Day




Ik nazam likhein
Aye Arz-e-Watan hum tere liye ik nazam likhein
Titli k paron se rung chunein
Un saazon se aahang chunein
Jo rooh mein bajte rehte hain
Or khawab bunein un phoolon k
Jo teri mehak se wabasta
Her aankh mein sajte rehte hain

Her aks ho jis mein La-Sani
Hum aisa ik arzung chunein
Titli k paron se rung chunein
Or nazam likhein

Wo nazam k jis k harfoz jese harf kisi abjad mein nahin
Wo rung utarein lafzon mein jo qous-e-qaza ki zad mein nahin
Or jis ki her ik satar mein khushbu aise lehrein leti ho
Jo weham-o-gumaan ki had mein nahin

Or jab yeh sub anhoni batein, un dekhi, un choi cheezein

Ik dooje mein mil jaein to nazam bane
Aye arz-e-watan wo nazam bane jo apni bunat mein kamil ho
Jo tere roop k shayan or mere hunar ka hasil ho

Aye arz-e-aman, Aye arz-e-watan
Tu shad rahe abad rahe
Mein tera tha, mein tera hun
Bus itna tujh ko yaad rahe!!!

Is kasht-e-hunar mein jo kuch hai
Kab mera hai???
Sub tujh se hai, sub tera hai

Yeh harf-o-sukhan, yeh loh-o-qalam
Sub urhti dhool musafat ki
Sub jogi wala phaira hai
Sub tujh se hai, sub tera hai

Sub Tera HAi...!!!

No comments:

Post a Comment